Aaj aag Hai,Aaj man me mere aag Hai ,
Andar hi antardwand Hai, khud me hi tadap raha Hu main
Sharir Agni se jal utha ,
Main Aaj dwesh se tap utha
Mastishk me samahit cheshta se, mere rag rag me bhay utha
Sapno ke tut Jane ki laptein mjhe dara rahi, khud ke piche reh Jane ki jwala mjhe kanpa rahi
Ye yuddha Hai veeron ka,
Ismeim virgati bhi haar Hai,
Auron se main Jo darr jaun,
Ye mjhe Na swikar Hai
Haar se main darta Nahi,
Par man Mera udas Hai
Jo Paas tha wo dur ab,
Jo dur tha ab Paas Hai,
Hatotshah tha, nirash tha,
Jo thoda aatmvishwash tha,
Gussa mjhe Aata Hai ab,
Thoda aas tha , ab faas Hai ,
Ab jal ke Agni me,
Tap ke aana bardasht Hai,
Ab Jeet jaun khud se main,
Abhimaan ki yahi haar Hai ,
Man me Jo takrar thi, Abhi tak barkarar Hai ,
Mehnat me jiske kami Nahi, to smjho nauka Paar Hai,
Mjhe Maan kar kamzor, Tune ki Badi se chuk Hai,
Hey Shatru ,Tu ye bhul gya, mjhme Abhi bhi bhukh hai
Giri mansiktaon pe , mjhe dukh Hai, Intezzar kar main aaunga , yahi Mera rasukh Hai.
ЁЯШНЁЯШНЁЯЩП
ReplyDelete